Baaghon Ki Aabaadi Badhne Ke Sanket
India » Wednesday, April 24, 2013
baaghon ki aabaadi badhne ke sanket vas . Nai Delhi : Desh mein baaghon ki aabaadi badhne ke sanket hain. Sarkaar ka kehna hai ki 2010 mein baaghon ki sankhya 1706 thi. Ismein badhotri ke sanket mil rahe hain. Paryaavaran raajyamantri jayanti nataraajan ne mangalvaar ko Rajyasabha mein ek savaal ke javaab mein bataaya ki baaghon ki ganana karne ke liye ab nae tareekon ka istemaal kiya ja raha hai. Gaurtalab hai ki 2006 mein baaghon ki sankhya kareeb 1411 thi.